Humne Aankhon se dekha nahin hai Magar new top naat sharif lyrics in hindi
हमने आँखों से देखा नहीं है मगर नात शरीफ लिरिक्स इन हिंदी
हमने आँखों से देखा नहीं है मगर,
उनकी तस्वीर सीने में मौजूद है,
जिसने लाकर कलाम-ए-इलाही दिया,
वो मुहम्मद मदीने में मौजूद है,
है नजर में जमाल-ए-हबीबे ख़ुदा,
उनकी तस्वीर सीने में मौजूद है,
जिसने लाकर कलाम-ए-इलाही दिया,
वो मुहम्मद मदीने में मौजूद है,
फूल खिलते हैं पढ़ कर के सल्ले अला,
झूम कर कह रही है ये बाद-ए-सबा,
ऐसी खुश्बू चमन के फूलों में कहाँ,
जो नबी के पसीने में मौजूद है,
छोड़ना तेरा तायबा गवारा नहीं,
सारी दुनिया में ऐसा नज़ारा नहीं,
ऐसा मंज़र ज़माने ने देखा नहीं,
जैसा मंज़र मदीने में मौजूद है,
हमने माना के जन्नत बहुत हसीं,
छोड़ कर हम मदीना न जाएं कहीं,
यूं तो जन्नत में सब है मदीना नहीं,
और जन्नत मदीने में मौजूद है,
बे-सहारों को सीने से लिपटा लिया,
जिसने जो माँगा उसको आता कर दिया,
वो फकीरों के अफ़सर शाह-ए-अंबिया,
वो शाहेंशाह मदीने में मौजूद है
Humne Aankhon se dekha nahin hai Magar new top naat sharif lyrics in hindi
Humne aankhon se dekha nahin hai magar,
Unki tasveer seene mein maujood hai,
Jisne laakar Kalaame Ilaahi diya,
Wo Muhammad Madine mein maujood hai,
Hai nazar mein jamaale Habibe Khuda,
Unki tasveer seene mein maujood hai,
Jisne laakar Kalaame Ilaahi diya,
Wo Muhammad Madine mein maujood hai,
Phool khilte hain pad kar ke Salle Ala,
Jhoom kar keh rahi hai ye baad-e-sabaa,
Aisi khushbu chaman ke ghulon mein kahaan,
Jo Nabi ke pasine mein maujood hai,
Chhodna tera Taybah gawaara nahin,
Saari duniya mein aisa nazaara nahin,
Aisa manzar zamaane ne dekha nahin,
Jaisa manzar Madine mein maujood hai,
Humne maana ke Jannat bahut haseen,
Chhod kar hum Madina na jaayein kahin,
Yun to Jannat mein sab hai Madina nahin,
Aur Jannat Madine mein maujood hai,
Be-sahaaron ko seene se lipta liya,
Jisne jo maanga usko ata kar diya,
Wo fakiron ke afsar Shahe Ambiya,
Wo Shahenshah Madine mein maujood hai,
0 Comments